Namaste India,
Aaj ki post hone wali hai Hindi main aur isme mein review karungi Patanjali Shishu Care Diaper ko. Mere ghar ke pass Patanjali ka ek chota sa store hai wahin par maine pehli baar iss diaper ko dekha tha. Us store mein yeh diapers dhool kha rahe the jiska matlab yeh hua ki ya toh log iss brand ke diapers khareedte nahi hain ya fir iss store par zyada log nai ate. Jab main shop wali lady se pucha toh unhone kaha ki koi bhi yeh diapers nahi leta hai. Toh maine socha kyun na iss brand ke diaper to try kiya jaye taaki mujhe inke na bikne ka reason pata chal sake. Toh chaliye ab kuch baatien detail mein ho jayen 🙂
Price: 13 Rs
Qt: 1 Diaper
Online availability: Here
Shelf life: 3 years
Size: These diapers are available three 3 size.
- S: 4-8 Kg
- M: 7-12 Kg
- L: 9-14 Kg
Direction of use:
Packaging: Yeh diaper ek multi-colored poly packaging mein ata hai which you need to tear off to take out the diaper. Product se related jitne bhi details hain woh packet par printed hain. Agar aap pehli baar diaper use kar rahe ho toh isse use karne ka sahi tareeka bhi apko packet par milega. Overall packaging bahut simple hai aur yeh ek diaper wala packet un log ke liye bahut hi acha option hai joh kabhi kabhi apne baby ko diaper pehnate hain.
My opinion about the product: Yeh ek White color ka fluffy sa diaper hai jis par bahut hi cute se print hain. Diaper ki upper and inner dono hi surface super soft hain. As per brand yeh diaper apke baby ko infection & rashes se bachata hai joh wakai mein bahut hi achi baat hai. Ek aur baat joh iss diaper ko special banati hai woh yeh ki it has goodness of Neem & Aloe Vera. Baaki ki pant diapers ki tarah is diaper ko bhi pehnana bahut hi asaan hai. If your baby pees then you can change it like sneaker or pants but if you baby poops then ripping off is the correct way. It fits the most snugly around my baby’s waist & thighs so there is no chance of leakage.
Ab hum baat karte hain diaper ke absorption capacity ki, iss diaper ki absorption capacity theek thak hai. Kyunki main apne bache ko 5 hrs se zyzda same diaper main nahi rakhti hun toh can’t claim on its overnight dryness claim. Ek or do pee ke baad yeh diaper heavy ho jata hai and starts sliding downward. Joh na kewal dekhne mein kharab lagta hai balki apka bacha bhi uncomfortable hone lagta hai. Jiski wajah se apko diaper jaldi jaldi change karna padta hai. Dipaer ki length bhi kam hai jiski wajah se baby ka bottom area bahut kasaa (tightened) sa rehta hai. Agar Pampers & Mamy Poko pants se compare kiya jaye (These diapers too comes around 13-14 Rs/diaper) toh yeh diaper aap bikul nahi lena chahoge. No doubt appereance wise iss brand ke diapers ache hai but dusre factors ki baat karen toh yeh puri tarah se flop show hain. Seedhe seedhe kaha jaye toh main yeh diaper dubara kabhi nahi lungi aur na hi recommend karungi.
ZZM Rating: ♥♥ 1.9/5 ♥♥
Leave a Reply Cancel reply